Wednesday, September 9, 2009

Musafir -e- yaar

Milenge fir kabhi kisi mod par,
bichad rahe is baat pe tu gam na kar,
rashak-ae-dosti nahi jaayaj yahaa,
ashak bahaa kar pyaar tu kam na kar,

duniya ke mele men milenge log aur bhi,
ik mere na hone pe tu aankhe nam na kar,

dil tera na tute isase dar lagataa hai mujhe,
nahi tere saath mai is pe too aitabaar na kar,

kafi kuchh hai milanaa aage badogii to,
jo chhut rahaa haath se usaki chaahat na kar,

sard aankho me jamaa paani use rahne de,
jaate-jaate yu dekh kar aansu unhen na kar,

khuda kare zamaane ki hansi tumhe mile,
koi aansu mere liye aaye vo kaam n kar........

2 comments:

  1. mujhe mere dost se bichadne ki yaad dila di....isi vishay par maine bhi kuch likha tha.. jaldi hi apne blog par likhunga...

    bahut sundar rachna k liye bdhaai...

    ReplyDelete
  2. yai to jannab dosti hai jo har pal sath rahti hai.....

    ReplyDelete