Tere jaane se mera dil ka karma khali ho gya,
Tum to gae par tumhara saaman wahi rah gya
Nahi chahati tum lauto par apna saaman le jao,
Tumhari yaado se jo mera dil bhara rah gaya.
Ek diwaar par har wo din lga sa rah to gya
Jab ek duje ke bin koi pal bhi bitaya na gya,
Aj jab juda hai hum to wo diwar q bhari hai
Tere jaane se mera dil ka karma khali ho gya,
Tum to gae par tumhara saaman wahi rah gya
Mere dil ki wo khidki jaha se har jajbaat aya,
Aj bhi khul jati hai bhule se koi jhoka jo aya,
Jab gae the to waha koi parda gira to jaate,
Tere jaane se mera dil ka karma khali ho gya,
Tum to gae par tumhara saaman wahi rah gya
No comments:
Post a Comment